Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


ishq ki rah mein yun had se guzar mat jaana


ishq kī raah meñ yuuñ had se guzar mat jaanā
hoñ ghaḌe kachche to dariyā meñ utar mat jaanā

pāñchvīñ samt nujūmī ne ishāra kar ke
shāhzāde se kahā thā ki udhar mat jaanā

ham inhī taptī huī rāhoñ meñ mil jā.eñge
koī saayā tumheñ roke to Thahar mat jaanā

ghar ke jaisā kahīñ ārām nahīñ pāoge
koī kahtā hai ki ab chhoḌ ke ghar mat jaanā

sar uThā.e hue chalnā na kabhī duniyā meñ
kabhī maqtal meñ jhukā.e hue sar mat jaanā

ishq ke tum to taraf-dār bahut ho 'vālī'
baat paḌ jaa.e to ai yaar mukar mat jaanā

ishq ki rah mein yun had se guzar mat jaana
hon ghaDe kachche to dariya mein utar mat jaana

panchwin samt nujumi ne ishaara kar ke
shahzade se kaha tha ki udhar mat jaana

hum inhi tapti hui rahon mein mil jaenge
koi saya tumhein roke to Thahar mat jaana

ghar ke jaisa kahin aaram nahin paoge
koi kahta hai ki ab chhoD ke ghar mat jaana

sar uThae hue chalna na kabhi duniya mein
kabhi maqtal mein jhukae hue sar mat jaana

ishq ke tum to taraf-dar bahut ho 'wali'
baat paD jae to ai yar mukar mat jaana

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ishq ki rah mein yun had se guzar mat jaana Nomaan Shauque

Source: Book : Mom (Pg. 109)

Leave a comment

+