Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faragh Rohvi

  • Ghazal


dekha jo aaina to mujhe sochna paDa


dekhā jo ā.īna to mujhe sochnā paḌā
ḳhud se na mil sakā to mujhe sochnā paḌā

us kā jo ḳhat milā to mujhe sochnā paḌā
apnā sā vo lagā to mujhe sochnā paḌā

mujh ko thā ye gumāñ ki mujhī meñ hai ik anā
dekhī tirī anā to mujhe sochnā paḌā

duniyā samajh rahī thī ki nārāz mujh se hai
lekin vo jab milā to mujhe sochnā paḌā

sar ko chhupā.ūñ apne ki pairoñ ko Dhāñp luuñ
chhoTī sī thī ridā to mujhe sochnā paḌā

ik din vo mere aib gināne lagā 'farāġh'
jab ḳhud hī thak gayā to mujhe sochnā paḌā

dekha jo aaina to mujhe sochna paDa
KHud se na mil saka to mujhe sochna paDa

us ka jo KHat mila to mujhe sochna paDa
apna sa wo laga to mujhe sochna paDa

mujh ko tha ye guman ki mujhi mein hai ek ana
dekhi teri ana to mujhe sochna paDa

duniya samajh rahi thi ki naraaz mujh se hai
lekin wo jab mila to mujhe sochna paDa

sar ko chhupaun apne ki pairon ko Dhanp lun
chhoTi si thi rida to mujhe sochna paDa

ek din wo mere aib ginane laga 'faragh'
jab KHud hi thak gaya to mujhe sochna paDa

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Jagjit Singh

Leave a comment

+