is shahr ke logoñ pe ḳhatm sahī ḳhush-tal.atī-o-gul-pairahnī
mire dil kī to pyaas kabhī na bujhī mire jī kī to baat kabhī na banī
abhī kal hī kī baat hai jān-e-jahāñ yahāñ fiil ke fiil the shor-kunāñ
ab nāra-e-ishq na zarb-e-fuġhāñ ga.e kaun nagar vo vafā ke dhanī
koī aur bhī morid-e-lutf huā milī ahl-e-havas ko havas kī sazā
tire shahr meñ the hamīñ ahl-e-vafā milī ek hamīñ ko jalā-vatanī
ye to sach hai ki ham tujhe pā na sake tirī yaad bhī jī se bhulā na sake
tirā daaġh hai dil meñ charāġh-e-sifat tire naam kī zeb-e-gulū-kafnī
tum saḳhtī-e-rāh kā ġham na karo har daur kī raah meñ ham-safaro
jahāñ dasht-e-ḳhizāñ vahīñ vādī-e-gul jahāñ dhuup kaḌī vahāñ chhāñv ghanī
is ishq ke dard kī kaun davā magar ek vazīfa hai ek duā
paḌho 'mīr'-o-'kabīr' ke bait kabit suno sher-e-'nazīr' faqīr-o-ġhanī
is shahr ke logon pe KHatm sahi KHush-talati-o-gul-pairahni
mere dil ki to pyas kabhi na bujhi mere ji ki to baat kabhi na bani
abhi kal hi ki baat hai jaan-e-jahan yahan fil ke fil the shor-kunan
ab nara-e-ishq na zarb-e-fughan gae kaun nagar wo wafa ke dhani
koi aur bhi morid-e-lutf hua mili ahl-e-hawas ko hawas ki saza
tere shahr mein the hamin ahl-e-wafa mili ek hamin ko jala-watani
ye to sach hai ki hum tujhe pa na sake teri yaad bhi ji se bhula na sake
tera dagh hai dil mein charagh-e-sifat tere nam ki zeb-e-gulu-kafni
tum saKHti-e-rah ka gham na karo har daur ki rah mein ham-safaro
jahan dasht-e-KHizan wahin wadi-e-gul jahan dhup kaDi wahan chhanw ghani
is ishq ke dard ki kaun dawa magar ek wazifa hai ek dua
paDho 'mir'-o-'kabir' ke bait kabit suno sher-e-'nazir' faqir-o-ghani
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment