alfāz-e-be-sadā kā imkān aa.ine meñ
dekhā hai maiñ ne akasr be-jān aa.ine meñ
kamre meñ raqs kartī chaltī haiñ jab havā.eñ
kuchh aks bolte haiñ har aan aa.ine meñ
hogā kisī kā chehra pahchān kī lagan meñ
hoñgī kisī kī āñkheñ hairān aa.ine meñ
tahzīb kā tasallut hai aa.ine se bāhar
tārīḳh ke safar kā vijdān aa.ine meñ
rañgoñ kī bārishoñ se dhundlā gayā hai manzar
aayā huā hai koī tūfān aa.ine meñ
zinda haqīqatoñ kī hotī hai parda-poshī
paltī hai jab ra.ūnat nādān aa.ine meñ
ho raushnī ki zulmat sahrā ho yā samundar
hotā hai zindagī kā 'irfān' aa.ine meñ
alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein
dekha hai main ne akasr be-jaan aaine mein
kamre mein raqs karti chalti hain jab hawaen
kuchh aks bolte hain har aan aaine mein
hoga kisi ka chehra pahchan ki lagan mein
hongi kisi ki aankhen hairan aaine mein
tahzib ka tasallut hai aaine se bahar
tariKH ke safar ka wijdan aaine mein
rangon ki barishon se dhundla gaya hai manzar
aaya hua hai koi tufan aaine mein
zinda haqiqaton ki hoti hai parda-poshi
palti hai jab raunat nadan aaine mein
ho raushni ki zulmat sahra ho ya samundar
hota hai zindagi ka 'irfan' aaine mein
Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 25.09.2015)
Leave a comment