Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Aajiz

  • Ghazal


tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya


tujhe sañg-dil ye pata hai kyā ki dukhe diloñ kī sadā hai kyā
kabhī choT tū ne bhī khaa.ī hai kabhī terā dil bhī dukhā hai kyā

tū ra.īs-e-shahr-e-sitam-garāñ maiñ gadā-e-kūcha-e-āshiqāñ
tū amiir hai to batā mujhe maiñ ġharīb huuñ to burā hai kyā

tū jafā meñ mast hai roz-o-shab maiñ kafan-ba-dosh ġhazal-ba-lab
tire ro.ab-e-husn se chup haiñ sab maiñ bhī chup rahūñ to mazā hai kyā

ye kahāñ se aa.ī hai surḳh-rū hai har ek jhoñkā lahū lahū
kaTī jis meñ gardan-e-ārzū ye usī chaman kī havā hai kyā

tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya
kabhi choT tu ne bhi khai hai kabhi tera dil bhi dukha hai kya

tu rais-e-shahr-e-sitam-garan main gada-e-kucha-e-ashiqan
tu amir hai to bata mujhe main gharib hun to bura hai kya

tu jafa mein mast hai roz-o-shab main kafan-ba-dosh ghazal-ba-lab
tere roab-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahun to maza hai kya

ye kahan se aai hai surKH-ru hai har ek jhonka lahu lahu
kaTi jis mein gardan-e-arzu ye usi chaman ki hawa hai kya


Source: Book : vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 32) Author : Kaliim aajiz

Leave a comment

+