kis qadar iztirāb hai yaaro
zindagī ik azaab hai yaaro
dil mirā saaf aa.ine kī tarah
ek saada kitāb hai yaaro
maiñ huuñ nākām ishq meñ lekin
kyā koī kāmyāb hai yaaro
jab se dekhā hai is ne hañs ke mujhe
dil kī hālat ḳharāb hai yaaro
ġham-e-jānāñ to rāhat-e-dil hai
fikr-e-duniyā azaab hai yaaro
us ne shāyad kiyā hai yaad mujhe
dil meñ kyuuñ iztirāb hai yaaro
pūchhte kyā ho us kā naqsh-o-nigār
aap apnā javāb hai yaaro
sun sakūñgā na dāstān-e-ishq
ab kahāñ mujh meñ taab hai yaaro
kyā karegā koī ḳharāb use
jo azal se ḳharāb hai yaaro
kuchh batāo ki aaj 'dānish' par
kyuuñ sitam be-hisāb hai yaaro
kis qadar iztirab hai yaro
zindagi ek azab hai yaro
dil mera saf aaine ki tarah
ek sada kitab hai yaro
main hun nakaam ishq mein lekin
kya koi kaamyab hai yaro
jab se dekha hai is ne hans ke mujhe
dil ki haalat KHarab hai yaro
gham-e-jaanan to rahat-e-dil hai
fikr-e-duniya azab hai yaro
us ne shayad kiya hai yaad mujhe
dil mein kyun iztirab hai yaro
puchhte kya ho us ka naqsh-o-nigar
aap apna jawab hai yaro
sun sakunga na dastan-e-ishq
ab kahan mujh mein tab hai yaro
kya karega koi KHarab use
jo azal se KHarab hai yaro
kuchh batao ki aaj 'danish' par
kyun sitam be-hisab hai yaro
Source: Book : Danish Kada (Pg. 82) Author : Danish Farahi Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015) Edition : 2015
Leave a comment