Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basir Sultan Kazmi

  • Ghazal


hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote


hote haiñ jo sab ke vo kisī ke nahīñ hote
auroñ ke to kyā hoñge vo apne nahīñ hote

mil un se kabhī jāgte haiñ jin ke muqaddar
terī tarah har vaqt vo so.e nahīñ hote

din meñ jo phirā karte haiñ hushiyār o ḳhabar-dār
vo merī tarah raat ko jaage nahīñ hote

ham un kī taraf se kabhī hote nahīñ ġhāfil
rishte vahī pakke haiñ jo pakke nahīñ hote

aġhyār ne muddat se jo roke hue the kaam
ab ham bhī ye dekheñge vo kaise nahīñ hote

nākāmī kī sūrat meñ mile tāna-e-nā-yāfat
ab kaam mire itne bhī kachche nahīñ hote

shab ahl-e-havas aise pareshān the 'bāsir'
jaise mah-o-anjum kabhī dekhe nahīñ hote

hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote
auron ke to kya honge wo apne nahin hote

mil un se kabhi jagte hain jin ke muqaddar
teri tarah har waqt wo soe nahin hote

din mein jo phira karte hain hushiyar o KHabar-dar
wo meri tarah raat ko jage nahin hote

hum un ki taraf se kabhi hote nahin ghafil
rishte wahi pakke hain jo pakke nahin hote

aghyar ne muddat se jo roke hue the kaam
ab hum bhi ye dekhenge wo kaise nahin hote

nakaami ki surat mein mile tana-e-na-yafat
ab kaam mere itne bhi kachche nahin hote

shab ahl-e-hawas aise pareshan the 'basir'
jaise mah-o-anjum kabhi dekhe nahin hote


Source: Book : Urdu Gazal Ka Magribi Daricha (Pg. 255) Author : Dr. Jawaz Jafri Publication : Kitabsaray Lahore (Pakistan) (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+