Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


kha ke sukhi roTiyan pani ke sath


khā ke sūkhī roTiyāñ paanī ke saath
jī rahā thā kitnī āsānī ke saath

yuuñ bhī manzar ko nayā kartā huuñ maiñ
dekhtā huuñ us ko hairānī ke saath

ghar meñ ik tasvīr jañgal kī bhī hai
rābta rahtā hai vīrānī ke saath

aañkh kī tah meñ koī sahrā na ho
aa rahī hai ret bhī paanī ke saath

zindagī kā mas.ala kuchh aur hai
sher kah letā huuñ āsānī ke saath

kha ke sukhi roTiyan pani ke sath
ji raha tha kitni aasani ke sath

yun bhi manzar ko naya karta hun main
dekhta hun us ko hairani ke sath

ghar mein ek taswir jangal ki bhi hai
rabta rahta hai virani ke sath

aankh ki tah mein koi sahra na ho
aa rahi hai ret bhi pani ke sath

zindagi ka masala kuchh aur hai
sher kah leta hun aasani ke sath


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 430) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+