Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Aleem

  • Ghazal


nigar-e-subh ki ummid mein pighalte hue


nigār-e-sub.h kī ummīd meñ pighalte hue
charāġh ḳhud ko nahīñ dekhtā hai jalte hue

vo husn us kā bayāñ kyā kare jo dekhtā ho
har ik adā ke ka.ī qad na.e nikalte hue

vo mauj-e-mai-kada-e-rañg hai badan us kā
ki haiñ talātum-e-mai se subū uchhalte hue

to zarra zarra us aalam kā hai zuleḳhā sifat
chale jo dasht-e-balā meñ koī sambhalte hue

ye ruuh khīñchtī chalī jā rahī hai kis kī taraf
ye paañv kyuuñ nahīñ thakte hamāre chalte hue

usī ke naam kī ḳhushbū se saañs chaltī rahe
usī kā naam zabāñ par ho dam nikalte hue

ḳhayāl o ḳhvāb ke kyā kyā na silsile nikle
charāġh jalte hue āftāb Dhalte hue

añdhere haiñ yahāñ sūraj ke naam par raushan
ujāloñ se yahāñ dekhe haiñ log jalte hue

utaar in meñ koī apnī raushnī yā rab
ki log thak ga.e zulmat se ab bahalte hue

vo aa rahe haiñ zamāne ki tum bhī dekhoge
ḳhudā ke haath se insān ko badalte hue

vo sub.h hogī to fir.aun phir na guzreñge
diloñ ko rauñdte insān ko masalte hue

nigar-e-subh ki ummid mein pighalte hue
charagh KHud ko nahin dekhta hai jalte hue

wo husn us ka bayan kya kare jo dekhta ho
har ek ada ke kai qad nae nikalte hue

wo mauj-e-mai-kada-e-rang hai badan us ka
ki hain talatum-e-mai se subu uchhalte hue

to zarra zarra us aalam ka hai zuleKHa sifat
chale jo dasht-e-bala mein koi sambhalte hue

ye ruh khinchti chali ja rahi hai kis ki taraf
ye panw kyun nahin thakte hamare chalte hue

usi ke nam ki KHushbu se sans chalti rahe
usi ka nam zaban par ho dam nikalte hue

KHayal o KHwab ke kya kya na silsile nikle
charagh jalte hue aaftab Dhalte hue

andhere hain yahan suraj ke nam par raushan
ujalon se yahan dekhe hain log jalte hue

utar in mein koi apni raushni ya rab
ki log thak gae zulmat se ab bahalte hue

wo aa rahe hain zamane ki tum bhi dekhoge
KHuda ke hath se insan ko badalte hue

wo subh hogi to firaun phir na guzrenge
dilon ko raundte insan ko masalte hue


Leave a comment

+