Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Zarrar Ahmad

  • Ghazal


gin rahe hain dil-e-nakaam ke din


gin rahe haiñ dil-e-nākām ke din
phir vahī gardish-e-ayyām ke din

dukh se āġhāz aur ġham pe aḳhīr
ham ne paa.e baḌe in.aam ke din

hai yahī soch kar ārām hameñ
mil ga.e haiñ unheñ ārām ke din

ab nahīñ kaam koī duniyā kā
goyā ye din haiñ baḌe kaam ke din

haiñ vo phir se mire nazdīk 'na.īm'
aa.e andesha-e-anjām ke din

gin rahe hain dil-e-nakaam ke din
phir wahi gardish-e-ayyam ke din

dukh se aaghaz aur gham pe aKHir
hum ne pae baDe inam ke din

hai yahi soch kar aaram hamein
mil gae hain unhen aaram ke din

ab nahin kaam koi duniya ka
goya ye din hain baDe kaam ke din

hain wo phir se mere nazdik 'naim'
aae andesha-e-anjam ke din


Leave a comment

+