paatā huuñ sahl ziist ke mushkil safar ko maiñ
kyoñ kar duā na duuñ but-e-dīvāna-gar ko maiñ
chhoTī sī apnī baat to afsāna ban ga.ī
jab bazm meñ chhupā na sakā chashm-e-tar ko maiñ
ek ik qadam pe jhuktā rahā hai sar-e-niyāz
manzil hī apnī samjhā tirī rahguzar ko maiñ
ai sāġhar-e-hayāt tirī talḳhiyāñ qubūl
saaqī ko saath pā.ūñ jo lutf-e-nazar ko maiñ
dam bhar rukā jo ishq kī manzil meñ kho gayā
ek ik se pūchhtā huuñ ki jā.ūñ kidhar ko maiñ
phir be-ḳhudī se hosh kī jānib huuñ baḌh rahā
phir DhūñDhtā huuñ aaj tumhārī nazar ko maiñ
yuuñ chheḌtā huuñ piirī meñ qisse shabāb ke
phir DhūñDhtā huuñ raakh meñ goyā sharar ko maiñ
aa.e na vo 'habīb' na dil kī kalī khilī
phir kyoñ na shām-e-ġham kahūñ aisī sahar ko maiñ
pata hun sahl zist ke mushkil safar ko main
kyon kar dua na dun but-e-diwana-gar ko main
chhoTi si apni baat to afsana ban gai
jab bazm mein chhupa na saka chashm-e-tar ko main
ek ek qadam pe jhukta raha hai sar-e-niyaz
manzil hi apni samjha teri rahguzar ko main
ai saghar-e-hayat teri talKHiyan qubul
saqi ko sath paun jo lutf-e-nazar ko main
dam bhar ruka jo ishq ki manzil mein kho gaya
ek ek se puchhta hun ki jaun kidhar ko main
phir be-KHudi se hosh ki jaanib hun baDh raha
phir DhunDhta hun aaj tumhaari nazar ko main
yun chheDta hun piri mein qisse shabab ke
phir DhunDhta hun rakh mein goya sharar ko main
aae na wo 'habib' na dil ki kali khili
phir kyon na sham-e-gham kahun aisi sahar ko main
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 78) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment