Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taj Saeed

  • Ghazal


khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai


khiḌkī meñ ek naar jo mahv-e-ḳhayāl hai
shāyad kisī ke pyaar ko paane kī chaal hai

kamre kī chiiz chiiz pe hai hasratoñ kī gard
āñgan meñ ujlī dhuup kā phailā jamāl hai

alfāz ke guhar tirī ḳhātir piro liye
ye bhī to tere husn-e-talab kā kamāl hai

iz.hār-e-ishq kartā hai ab raah chalte bhī
is ahd kā javāñ baḌā raushan-ḳhayāl hai

barsoñ ke yaar kab ke judā ho ga.e 'sa.īd'
is shahar meñ zarūr muravvat kā kaal hai

khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai
shayad kisi ke pyar ko pane ki chaal hai

kamre ki chiz chiz pe hai hasraton ki gard
aangan mein ujli dhup ka phaila jamal hai

alfaz ke guhar teri KHatir piro liye
ye bhi to tere husn-e-talab ka kamal hai

izhaar-e-ishq karta hai ab rah chalte bhi
is ahd ka jawan baDa raushan-KHayal hai

barson ke yar kab ke juda ho gae 'said'
is shahar mein zarur murawwat ka kal hai


Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 523) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 ) Edition : 1967

Leave a comment

+