Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Bhabha

  • Ghazal


hijr hun pura hijr hun ishq visal kare


hijr huuñ puurā hijr huuñ ishq visāl kare
dil kī dhaḌkan taal ho jism dhamāl kare

dekhūñ us kī chāñdnī chāñd se bhī shaffāf
aur sunahrī raushnī apnā jamāl kare

gandum jaise rañg par kaalī chādar taan
gītoñ jaisī zindagī be-sur-tāl kare

manzar se jo duur haiñ un par kare nigāh
dhyān se pahle dekhnā vahī kamāl kare

us kā ik pal dekhnā, us par darūd salām
hijr bharī jo zindagī ain visāl kare

apnā mujh ko ruup de, apnā āshiq ho
jo bhī us kā haal hai merā haal kare

saare savāl āsān haiñ mushkil ek javāb
ham bhī ek javāb haiñ koī savāl kare

hijr hun pura hijr hun ishq visal kare
dil ki dhaDkan tal ho jism dhamal kare

dekhun us ki chandni chand se bhi shaffaf
aur sunahri raushni apna jamal kare

gandum jaise rang par kali chadar tan
giton jaisi zindagi be-sur-tal kare

manzar se jo dur hain un par kare nigah
dhyan se pahle dekhna wahi kamal kare

us ka ek pal dekhna, us par darud salam
hijr bhari jo zindagi ain visal kare

apna mujh ko rup de, apna aashiq ho
jo bhi us ka haal hai mera haal kare

sare sawal aasan hain mushkil ek jawab
hum bhi ek jawab hain koi sawal kare


Leave a comment

+