fikr-e-sūd-o-ziyāñ meñ rahtā huuñ
maiñ bhī is ḳhāk-dāñ meñ rahtā huuñ
nīlgūñ āsmān ke nīche
ḳhema-e-jism-o-jāñ meñ rahtā huuñ
maiñ huuñ āzād kab zamāne meñ
qaid-e-vahm-o-gumāñ meñ rahtā huuñ
maiñ mohabbat kī raushnī ban kar
vaqt kī kahkashāñ meñ rahtā huuñ
maiñ bahāroñ ke rañg meñ Dhal kar
manzar-e-bostāñ meñ rahtā huuñ
jaane kyā baat hai ki maiñ tanhā
mahfil-e-dostāñ meñ rahtā huuñ
apne būḌhe vajūd ke andar
ik shikasta makāñ meñ rahtā huuñ
fikr-e-itlāf-e-zindagī kaisā
maiñ ajal kī amaañ meñ rahtā huuñ
maiñ bagūloñ ke darmiyāñ 'shāhid'
dasht-e-asr-e-ravāñ meñ rahtā huuñ
fikr-e-sud-o-ziyan mein rahta hun
main bhi is KHak-dan mein rahta hun
nilgun aasman ke niche
KHema-e-jism-o-jaan mein rahta hun
main hun aazad kab zamane mein
qaid-e-wahm-o-guman mein rahta hun
main mohabbat ki raushni ban kar
waqt ki kahkashan mein rahta hun
main bahaaron ke rang mein Dhal kar
manzar-e-bostan mein rahta hun
jaane kya baat hai ki main tanha
mahfil-e-dostan mein rahta hun
apne buDhe wajud ke andar
ek shikasta makan mein rahta hun
fikr-e-itlaf-e-zindagi kaisa
main ajal ki aman mein rahta hun
main bagulon ke darmiyan 'shahid'
dasht-e-asr-e-rawan mein rahta hun
Leave a comment