Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nami Ansari

  • Ghazal


KHak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar


ḳhāk-e-aġhyār se yārab mujhe paivand na kar
mujh ko in chāñd sitāroñ meñ nazar-band na kar

ek hī baar chhalak jaane de paimāna mirā
lamha lamha mujhe āzurda-o-ḳhursand na kar

tujh ko pahchān leñ yā tujh ko ḳhudā kah baiTheñ
apne dīvānoñ ko itnā bhī ḳhirad-mand na kar

shahr-e-dillī to amānat hai mire purkhoñ kī
is ko be-rañg-o-sadā misl-e-samarqand na kar

vāhima ho to kabhī harf-e-yaqīñ tak pahuñche
kuchh na ho jab to hikāyāt qalam-band na kar

ishq āsāñ hai magar rog hai dīvānoñ kā
bār-e-ġham yūñhī bahut hai use do-chand na kar

kyā ḳhabar kab ye utar jaa.e ragoñ meñ 'nāmī'
zahr ko zahr hī rahne de ise qand na kar

KHak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar
mujh ko in chand sitaron mein nazar-band na kar

ek hi bar chhalak jaane de paimana mera
lamha lamha mujhe aazurda-o-KHursand na kar

tujh ko pahchan len ya tujh ko KHuda kah baiThen
apne diwanon ko itna bhi KHirad-mand na kar

shahr-e-dilli to amanat hai mere purkhon ki
is ko be-rang-o-sada misl-e-samarqand na kar

wahima ho to kabhi harf-e-yaqin tak pahunche
kuchh na ho jab to hikayat qalam-band na kar

ishq aasan hai magar rog hai diwanon ka
bar-e-gham yunhi bahut hai use do-chand na kar

kya KHabar kab ye utar jae ragon mein 'nami'
zahr ko zahr hi rahne de ise qand na kar


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+