Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Sahbai

  • Ghazal


chilchilati dhup ne ghussa utara har jagah


chilchilātī dhuup ne ġhussa utārā har jagah
chaḌh gayā ūñchā.ī par zehnoñ kā paarā har jagah

is zamīñ par ham jahāñ bhī haiñ vahāñ tārāj haiñ
āj-kal gardish meñ hai apnā sitārā har jagah

apnī kyā gintī farishte bhī vahāñ maare ga.e
ḳhvāhishoñ ne menkā kā ruup dhārā har jagah

maañg letī hai havā achchhe mavāqe dekh kar
ik na ik muTThī meñ rahtā hai sharārā har jagah

ġharq tūfānoñ meñ kar do yā bhañvar meñ Daal do
himmatoñ ke haath chhūte haiñ kinārā har jagah

tum nahīñ badle mahā-bhārat ke andhe bādshāh
har jagah sābit the ham tum ne nakārā har jagah

chilchilati dhup ne ghussa utara har jagah
chaDh gaya unchai par zehnon ka para har jagah

is zamin par hum jahan bhi hain wahan taraj hain
aaj-kal gardish mein hai apna sitara har jagah

apni kya ginti farishte bhi wahan mare gae
KHwahishon ne meinka ka rup dhaara har jagah

mang leti hai hawa achchhe mawaqe dekh kar
ek na ek muTThi mein rahta hai sharara har jagah

gharq tufanon mein kar do ya bhanwar mein Dal do
himmaton ke hath chhute hain kinara har jagah

tum nahin badle maha-bhaarat ke andhe baadshah
har jagah sabit the hum tum ne nakara har jagah


Source: Book : aatish zer pa (Pg. 101) Author : aatish zer pa Publication : zafar sehbai Bhopal (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+