Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Haris

  • Ghazal


ajab ashkon ki barish ho gai hai


ajab ashkoñ kī bārish ho ga.ī hai
diloñ kī gard saarī dho ga.ī hai

sunā.ī de rahī haiñ siskiyāñ ab
suhānī rāgnī chup ho ga.ī hai

Dare jaate haiñ ham ko dekh kar sab
hamārī shakl ham se kho ga.ī hai

bharā rahtā hai kamre meñ añdherā
hamārī niiñd bhī ab so ga.ī hai

kisī ke saath rahte rahte 'hāris'
mirī pahchān mujh meñ kho ga.ī hai

ajab ashkon ki barish ho gai hai
dilon ki gard sari dho gai hai

sunai de rahi hain siskiyan ab
suhani ragni chup ho gai hai

Dare jate hain hum ko dekh kar sab
hamari shakl hum se kho gai hai

bhara rahta hai kamre mein andhera
hamari nind bhi ab so gai hai

kisi ke sath rahte rahte 'haaris'
meri pahchan mujh mein kho gai hai


Source: Book : Atraaf (Pg. 42) Author : Obaid Haris Publication : National Human For Needful Foundation, Nagpur (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+