dil terī nazar kī shah pā kar milne ke bahāne DhūñDhe hai
gītoñ kī fazā.eñ māñge hai ġhazloñ ke zamāne DhūñDhe hai
āñkhoñ meñ liye shabnam kī chamak siine meñ liye duurī kī kasak
vo aaj hamāre paas aa kar kuchh zaḳhm purāne DhūñDhe hai
kyā baat hai terī bātoñ kī lahja hai ki hai jaadū koī
har aan fazā meñ dil uḌ kar tāroñ ke ḳhazāne DhūñDhe hai
pahle to chhuTe ye dair-o-haram phir ghar chhūTā phir mai-ḳhāna
ab 'tāj' tumhārī galiyoñ meñ rone ke Thikāne DhūñDhe hai
dil teri nazar ki shah pa kar milne ke bahane DhunDhe hai
giton ki fazaen mange hai ghazlon ke zamane DhunDhe hai
aankhon mein liye shabnam ki chamak sine mein liye duri ki kasak
wo aaj hamare pas aa kar kuchh zaKHm purane DhunDhe hai
kya baat hai teri baaton ki lahja hai ki hai jadu koi
har aan faza mein dil uD kar taron ke KHazane DhunDhe hai
pahle to chhuTe ye dair-o-haram phir ghar chhuTa phir mai-KHana
ab 'taj' tumhaari galiyon mein rone ke Thikane DhunDhe hai
Leave a comment