koī us zālim ko samjhātā nahīñ
vo sitam karne se baaz aatā nahīñ
dasht-e-ġham meñ kab mirā naqsh-e-qadam
har qadam pe aañkh dikhlātā nahīñ
dard-e-furqat se zabāñ dāñtoñ meñ hai
kyā kahūñ kuchh bhī kahā jaatā nahīñ
chashm-e-dil se dekh use tū dekh le
chashm-e-zāhir se nazar aatā nahīñ
sabr-e-shauq-e-vasl-e-jānāñ kyā karūñ
par lagā kar bhī uḌā jaatā nahīñ
kab ḳhayāl-e-zulf meñ har raat ko
dil pe mere saañp lahrātā nahīñ
gul se nisbat kiyā tire ruḳhsār ko
ye to vo gul hai jo kumhlātā nahīñ
dard-e-furqat se hai ab hoñToñ pe dam
phir bhī zālim ko taras aatā nahīñ
jaan lī hai jalva-e-ruḳhsār ne
qabr kī zulmat se ghabrātā nahīñ
husn kī ḳhuddāriyāñ to dekhiye
be-ḳhudī meñ bhī vo haath aatā nahīñ
vo nahīñ aate to nādir kyā galā
hosh jab do do dopahar aatā nahīñ
koi us zalim ko samjhata nahin
wo sitam karne se baz aata nahin
dasht-e-gham mein kab mera naqsh-e-qadam
har qadam pe aankh dikhlata nahin
dard-e-furqat se zaban danton mein hai
kya kahun kuchh bhi kaha jata nahin
chashm-e-dil se dekh use tu dekh le
chashm-e-zahir se nazar aata nahin
sabr-e-shauq-e-wasl-e-jaanan kya karun
par laga kar bhi uDa jata nahin
kab KHayal-e-zulf mein har raat ko
dil pe mere sanp lahraata nahin
gul se nisbat kiya tere ruKHsar ko
ye to wo gul hai jo kumhlata nahin
dard-e-furqat se hai ab honTon pe dam
phir bhi zalim ko taras aata nahin
jaan li hai jalwa-e-ruKHsar ne
qabr ki zulmat se ghabraata nahin
husn ki KHuddariyan to dekhiye
be-KHudi mein bhi wo hath aata nahin
wo nahin aate to nadir kya gala
hosh jab do do dopahar aata nahin
Source: Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 169) Author : Abul Khayal Nadir Shahjahanpuri Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society Jhansi U.P (2015) Edition : 2015
Leave a comment