Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanvir Dehlvi

  • Ghazal


dil pareshan hi raha der talak go baiThe


dil pareshāñ hī rahā der talak go baiThe
apnī zulfoñ ko banāyā hī kiye vo baiThe

apnī sūrat pe kahīñ aap na āshiq honā
be-tarah dekhte ho aa.ina tum to baiThe

zulf uljhī hai to shāne se use suljhā lo
shaam kā vaqt hai ho koste kis ko baiThe

jā.ūñ kyā ek to darbān hai aur ek raqīb
jaan lene ko farishte haiñ vahāñ do baiThe

hai javānī bhī ajab chāhtā hai dil 'tanvīr'
use taako use ghūro use dekho baiThe

dil pareshan hi raha der talak go baiThe
apni zulfon ko banaya hi kiye wo baiThe

apni surat pe kahin aap na aashiq hona
be-tarah dekhte ho aaina tum to baiThe

zulf uljhi hai to shane se use suljha lo
sham ka waqt hai ho koste kis ko baiThe

jaun kya ek to darban hai aur ek raqib
jaan lene ko farishte hain wahan do baiThe

hai jawani bhi ajab chahta hai dil 'tanwir'
use tako use ghuro use dekho baiThe


Source: Intikhab-e-Sukhan,Volume-001

Leave a comment

+