Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Ali Bahr

  • Ghazal


jate hai KHanqah se waiz salam hai


jaate hai ḳhānqāh se vaa.iz salām hai
ham dair se chale sanam ab raam raam hai

sūrat vo sāñvlī ki kanhayyā ġhulām hai
mere sanam se ḳhūb-tar allāh kā naam hai

dar-pesh hai vo manzil-e-nā-tāqatī hameñ
uTThe jo ham-safar hai jo baiThe maqām hai

sayyād hī bahār ke parde meñ bulbulo
har ġhuncha hai qafas rag-e-gul tār-e-rām hai

kyuuñ kar na merī yaad farāmosh ho use
samjhā hai yaar nañg jise merā naam hai

merā lahū chaTā.egā jab tak na teġh ko
qātil ko dahne haath kā khānā harām hai

saaqī se ho jo dil-shikanī bhī to lutf hai
TuuTā jo shīsha merī baġhal kā to jaam hai

fasl-e-bahār baat kī baat is chaman meñ hai
āvāz-e-ġhuncha ruḳhsat-e-gul kā payām hai

mastī Tapak rahī hai yahāñ baal baal se
tan meñ lahū nahīñ ye mai-e-la.al-fām hai

tahrīr-e-hāl kī kise tāqat hai nāma-bar
hai jaan hoñToñ par ye zabānī payām hai

vo māh-rū chhupā hai mahāq-e-hijāb meñ
āshiq ke zindagī kā mahīna tamām hai

samjhe raheñ bahut mire kam-mā.egī harīf
qatra vo huuñ ki aaj mirā 'bahr' naam hai

jate hai KHanqah se waiz salam hai
hum dair se chale sanam ab ram ram hai

surat wo sanwli ki kanhayya ghulam hai
mere sanam se KHub-tar allah ka nam hai

dar-pesh hai wo manzil-e-na-taqati hamein
uTThe jo ham-safar hai jo baiThe maqam hai

sayyaad hi bahaar ke parde mein bulbulo
har ghuncha hai qafas rag-e-gul tar-e-ram hai

kyun kar na meri yaad faramosh ho use
samjha hai yar nang jise mera nam hai

mera lahu chaTaega jab tak na tegh ko
qatil ko dahne hath ka khana haram hai

saqi se ho jo dil-shikani bhi to lutf hai
TuTa jo shisha meri baghal ka to jam hai

fasl-e-bahaar baat ki baat is chaman mein hai
aawaz-e-ghuncha ruKHsat-e-gul ka payam hai

masti Tapak rahi hai yahan baal baal se
tan mein lahu nahin ye mai-e-lal-fam hai

tahrir-e-haal ki kise taqat hai nama-bar
hai jaan honTon par ye zabani payam hai

wo mah-ru chhupa hai mahaq-e-hijab mein
aashiq ke zindagi ka mahina tamam hai

samjhe rahen bahut mere kam-maegi harif
qatra wo hun ki aaj mera 'bahr' nam hai


Leave a comment

+