Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taimur Hasan

  • Ghazal


hijr baKHsha kabhi visal diya


hijr baḳhshā kabhī visāl diyā
ishq ne jo diyā kamāl diyā

ek ḳhat jo sambhālnā thā mujhe
jaane maiñ ne kahāñ sambhāl diyā

shukr us kā karūñ adā kaise
jis ne hairat dī aur savāl diyā

merī qismat kā faisla us ne
ma.araz-e-iltavā meñ Daal diyā

ḳhud kiyā faisla ḳhilāf apne
mushkiloñ se use nikāl diyā

sab ko dil kī batātā thā 'taimūr'
maiñ ne pūchhā to hañs ke Taal diyā

hijr baKHsha kabhi visal diya
ishq ne jo diya kamal diya

ek KHat jo sambhaalna tha mujhe
jaane main ne kahan sambhaal diya

shukr us ka karun ada kaise
jis ne hairat di aur sawal diya

meri qismat ka faisla us ne
maraz-e-iltawa mein Dal diya

KHud kiya faisla KHilaf apne
mushkilon se use nikal diya

sab ko dil ki batata tha 'taimur'
main ne puchha to hans ke Tal diya


Leave a comment

+