Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Siddiqui

  • Ghazal


wafa ki manzilon ko humne is tarah saja liya


vafā kī manziloñ ko ham ne is tarah sajā liyā
qadam qadam pe ik charāġh-e-ārzū jalā liyā

rah-e-hayāt meñ hazār uljhaneñ rahīñ magar
tumhārā ġham jahāñ milā use gale lagā liyā

hamāre hausle hamārī jur.ateñ to dekhiye
qazā ko apnī zindagī kā pāsbāñ banā liyā

hazār baar ham farāz-e-dār se guzar ga.e
hazār baar ham ne un kā zarf aazmā liyā

ḳhirad to saath de sakī na rāh-e-ishq meñ magar
junūñ hī ek thā ki jis ko ham-safar banā liyā

phir aaj ahl-e-jaur ko shikast-e-fāsh ho ga.ī
phir aaj ahl-e-dil ne parcham-e-'vafā' uThā liyā

wafa ki manzilon ko hum ne is tarah saja liya
qadam qadam pe ek charagh-e-arzu jala liya

rah-e-hayat mein hazar uljhanen rahin magar
tumhaara gham jahan mila use gale laga liya

hamare hausle hamari juraten to dekhiye
qaza ko apni zindagi ka pasban bana liya

hazar bar hum faraaz-e-dar se guzar gae
hazar bar hum ne un ka zarf aazma liya

KHirad to sath de saki na rah-e-ishq mein magar
junun hi ek tha ki jis ko ham-safar bana liya

phir aaj ahl-e-jaur ko shikast-e-fash ho gai
phir aaj ahl-e-dil ne parcham-e-'wafa' uTha liya


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+