Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahangeer nayab

  • Ghazal


ab agar aur chup rahunga main


ab agar aur chup rahūñgā maiñ
phir ye tai he ki phaT paḌūñgā maiñ

ek aisā bhī vaqt aa.egā
tum sunoge faqat kahūñgā maiñ

naaz uThā.ūñgā naaz uThāne tak
tere aage nahīñ bichh.uñgā maiñ

dekhnā terī rahbarī ke baġhair
apnī manzil talāsh lūñgā maiñ

tum ko jaanā hai shauq se jaao
ab ḳhushāmad nahīñ karūñgā maiñ

jab kabhī tujh se sāmnā hogā
ajnabī kī tarah milūñgā maiñ

kyā sabab hai mirī ḳhamoshī kā
shor thamne do phir kahūñgā maiñ

aa.ina rakh ke sāmne 'nāyāb'
pāgaloñ kī tarah hañsūñgā maiñ

ab agar aur chup rahunga main
phir ye tai he ki phaT paDunga main

ek aisa bhi waqt aaega
tum sunoge faqat kahunga main

naz uThaunga naz uThane tak
tere aage nahin bichhunga main

dekhna teri rahbari ke baghair
apni manzil talash lunga main

tum ko jaana hai shauq se jao
ab KHushamad nahin karunga main

jab kabhi tujh se samna hoga
ajnabi ki tarah milunga main

kya sabab hai meri KHamoshi ka
shor thamne do phir kahunga main

aaina rakh ke samne 'nayab'
pagalon ki tarah hansunga main


Leave a comment

+