Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


mujhe ghubar uData hua sawar laga


mujhe ġhubār uḌātā huā savār lagā
mirā qayās havāoñ ko nāgavār lagā

uchhālne meñ tujhe kitne haath shāmil the
kināre baiTh ke lahroñ kā kuchh shumār lagā

vo būḌhā peḌ jo thā barg-o-bār se mahrūm
ham us se lag ke jo baiThe to sāya-dār lagā

ubuur dariyā ko kartā rahā magar ik baar
hue jo shal mire baazū to be-kanār lagā

nigāh arz-o-samā meñ jo maiñ ne dauḌā.ī
khiñchā huā mujhe chāroñ taraf hisār lagā

mujhe ghubar uData hua sawar laga
mera qayas hawaon ko nagawar laga

uchhaalne mein tujhe kitne hath shamil the
kinare baiTh ke lahron ka kuchh shumar laga

wo buDha peD jo tha barg-o-bar se mahrum
hum us se lag ke jo baiThe to saya-dar laga

ubur dariya ko karta raha magar ek bar
hue jo shal mere bazu to be-kanar laga

nigah arz-o-sama mein jo main ne dauDai
khincha hua mujhe chaaron taraf hisar laga


Leave a comment

+