Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karamat Bukhari

  • Ghazal


lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam


lab pe kisī ujḌī huī jāgīr kā mātam
har lafz mirā halqa-e-zanjīr kā mātam

dil meñ kahīñ bujhte hue armānoñ kā nauha
āñkhoñ meñ kisī yaad kī tasvīr kā mātam

har soch meñ sañgīn fazāoñ kā fasāna
har fikr meñ shāmil huā tahrīr kā mātam

jab se huā ma.alūm ki ye chāñd hai patthar
kartā huuñ maiñ ab chāñd kī tasḳhīr kā mātam

har harf mirā karb-e-musalsal kī ghuTan meñ
kartā hai mire ḳhāna-e-dil-gīr kā mātam

lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam
har lafz mera halqa-e-zanjir ka matam

dil mein kahin bujhte hue armanon ka nauha
aankhon mein kisi yaad ki taswir ka matam

har soch mein sangin fazaon ka fasana
har fikr mein shamil hua tahrir ka matam

jab se hua malum ki ye chand hai patthar
karta hun main ab chand ki tasKHir ka matam

har harf mera karb-e-musalsal ki ghuTan mein
karta hai mere KHana-e-dil-gir ka matam


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 645) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+