Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Barelvi

  • Ghazal


jab tamashe ka na ho chhoD ke aane ka malal


jab tamāshe kā na ho chhoḌ ke aane kā malāl
kyoñ ho phir khel ke ādāb nibhāne kā malāl

aisī tanhā.ī kī lat hai ise bas kyā kahiye
ghar ko hotā hai mire lauT ke aane kā malāl

kaisā māyūs thā vo daur-e-ḳhizāñ bhī mat pūchh
thā use shāḳh se pattoñ ko girāne kā malāl

pahle to us ko bhulāne meñ ka.ī saal lage
ab ka.ī saal se hai us ko bhulāne kā malāl

terī duniyā kī taraf thī mire dil kī manzil
dil ko ab tak hai usī guzre zamāne kā malāl

jab tamashe ka na ho chhoD ke aane ka malal
kyon ho phir khel ke aadab nibhane ka malal

aisi tanhai ki lat hai ise bas kya kahiye
ghar ko hota hai mere lauT ke aane ka malal

kaisa mayus tha wo daur-e-KHizan bhi mat puchh
tha use shaKH se patton ko girane ka malal

pahle to us ko bhulane mein kai sal lage
ab kai sal se hai us ko bhulane ka malal

teri duniya ki taraf thi mere dil ki manzil
dil ko ab tak hai usi guzre zamane ka malal


Leave a comment

+