Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahan Ara Tabassum

  • Ghazal


takti jhankti rahi aankhen


tāktī jhāñktī rahī āñkheñ
jaane kyā khojtī rahī āñkheñ

hoñT āñkhoñ pe rakh diye us ne
aur phir boltī rahī āñkheñ

ḳhvāb āñkhoñ meñ so ga.e lekin
raat bhar jāgtī rahī āñkheñ

āñkhoñ āñkhoñ meñ kyā kahā us ne
der tak sochtī rahī āñkheñ

us kī gahrī sī jhiil āñkhoñ meñ
Doltī Dūbtī rahī āñkheñ

jaane kyā dekhne kī hasrat hai
jaane kyā dekhtī rahī āñkheñ

jhuuT par jhuuT boltī hī rahī
sach magar boltī rahī āñkheñ

duur tak dekhte rahe us ko
der tak bhīgtī rahī āñkheñ

vo ulajhte rahe 'tabassum' se
aur dukh jheltī rahī āñkheñ

takti jhankti rahi aankhen
jaane kya khojti rahi aankhen

honT aankhon pe rakh diye us ne
aur phir bolti rahi aankhen

KHwab aankhon mein so gae lekin
raat bhar jagti rahi aankhen

aankhon aankhon mein kya kaha us ne
der tak sochti rahi aankhen

us ki gahri si jhil aankhon mein
Dolti Dubti rahi aankhen

jaane kya dekhne ki hasrat hai
jaane kya dekhti rahi aankhen

jhuT par jhuT bolti hi rahi
sach magar bolti rahi aankhen

dur tak dekhte rahe us ko
der tak bhigti rahi aankhen

wo ulajhte rahe 'tabassum' se
aur dukh jhelti rahi aankhen


Leave a comment

+