Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Faiqi

  • Ghazal


KHak sahra mein uDati hai ye diwani hawa


ḳhaak sahrā meñ uḌātī hai ye dīvānī havā
aur bahāroñ meñ karegī chāk-dāmānī havā

peḌ ukhḌe ghar gire āñdhī chalī chhappar uḌe
chal paḌī jis vaqt ābādī meñ dīvānī havā

garmiyoñ meñ muztarib the log paanī ke liye
bādaloñ ko kar ga.ī barsāt meñ paanī havā

yuuñ huā mahsūs pattoñ ke khaḌakne se mujhe
chupke chupke kartī hai aurāq-gardānī havā

raushnī hī raushnī hotī jahāñ meñ har taraf
gar charāġhoñ kī kiyā kartī nigahbānī havā

haa.e phir jazbāt 'āsī' ko havā dene lage
dil ke dariyā meñ kahīñ laa.e na tuġhyānī havā

KHak sahra mein uDati hai ye diwani hawa
aur bahaaron mein karegi chaak-damani hawa

peD ukhDe ghar gire aandhi chali chhappar uDe
chal paDi jis waqt aabaadi mein diwani hawa

garmiyon mein muztarib the log pani ke liye
baadalon ko kar gai barsat mein pani hawa

yun hua mahsus patton ke khaDakne se mujhe
chupke chupke karti hai auraq-gardani hawa

raushni hi raushni hoti jahan mein har taraf
gar charaghon ki kiya karti nigahbani hawa

hae phir jazbaat 'asi' ko hawa dene lage
dil ke dariya mein kahin lae na tughyani hawa


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+