Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehtimam Sadiq

  • Ghazal


nafraton ki nai diwar uThate hue log


nafratoñ kī na.ī dīvār uThāte hue log
kyā ajab log haiñ zindān banāte hue log

terā har naqsh miTātī huī yādeñ terī
aur phir mujh ko tirī yaad dilāte hue log

kyā ḳhabar kis ko tire hijr ne baḳhshī hai najāt
jaane vo kaun the ashkoñ meñ nahāte hue log

ab to har-gām pe har moḌ pe mil jaate haiñ
dekh kar mujh ko tirā naam bulāte hue log

dhuup meñ saaya mile bhī to kahāñ se 'sādiq'
jal ga.e phuus ke chhappar ko banāte hue log

nafraton ki nai diwar uThate hue log
kya ajab log hain zindan banate hue log

tera har naqsh miTati hui yaaden teri
aur phir mujh ko teri yaad dilate hue log

kya KHabar kis ko tere hijr ne baKHshi hai najat
jaane wo kaun the ashkon mein nahate hue log

ab to har-gam pe har moD pe mil jate hain
dekh kar mujh ko tera nam bulate hue log

dhup mein saya mile bhi to kahan se 'sadiq'
jal gae phus ke chhappar ko banate hue log


Leave a comment

+