Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


zamin ke baad hum ab aasman na rakkhenge


zamīñ ke ba.ad ham ab āsmāñ na rakkheñge
ḳhalā rahegā qadam ham jahāñ na rakkheñge

javāb denā paḌegā hameñ ḳhamoshī kā
so tai kiyā hai ki muñh meñ zabāñ na rakkheñge

kahīñ izāfa kahīñ hazf to kahīñ tarmīm
kahīñ kī ab vo mirī dāstāñ na rakheñge

tule haiñ haath jo virse pe saaf karne par
kisī bhī daur kā baaqī nishāñ na rakkheñge

batā rahe haiñ ham ehsāñ jatāne vāloñ ko
jo sar pe bojh ho vo sā.ebāñ na rakkheñge

numū ke vāste koshāñ haiñ is yaqīn ke saath
baḌe hue to ham is kā gumāñ na rakkheñge

agar ho vaj.h-e-ta.alluq to ham se duur raho
koī bhī fāsla ham darmiyāñ na rakkheñge

jab apne ghar meñ hī apnī anā ko ḳhatra hai
ham apne paas ye jins-e-girāñ na rakkheñge

kisī ne maarā hai shab-ḳhūn aisā raahī par
ki ab vo sub.h talak tan meñ jaañ na rakkheñge

zamin ke baad hum ab aasman na rakkhenge
KHala rahega qadam hum jahan na rakkhenge

jawab dena paDega hamein KHamoshi ka
so tai kiya hai ki munh mein zaban na rakkhenge

kahin izafa kahin hazf to kahin tarmim
kahin ki ab wo meri dastan na rakhenge

tule hain hath jo wirse pe saf karne par
kisi bhi daur ka baqi nishan na rakkhenge

bata rahe hain hum ehsan jatane walon ko
jo sar pe bojh ho wo saeban na rakkhenge

numu ke waste koshan hain is yaqin ke sath
baDe hue to hum is ka guman na rakkhenge

agar ho wajh-e-talluq to hum se dur raho
koi bhi fasla hum darmiyan na rakkhenge

jab apne ghar mein hi apni ana ko KHatra hai
hum apne pas ye jins-e-giran na rakkhenge

kisi ne mara hai shab-KHun aisa rahi par
ki ab wo subh talak tan mein jaan na rakkhenge


Leave a comment

+