Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taimur Hasan

  • Ghazal


ye log karte hain mansub jo bayan tujhse


ye log karte haiñ mansūb jo bayāñ tujh se
samajhte haiñ mujhe kar deñge bad-gumāñ tujh se

jahāñ jahāñ mujhe terī anā bachānā thī
shikast khaa.ī hai maiñ ne vahāñ vahāñ tujh se

mire shajar mujhe baazū hilā ke ruḳhsat kar
kahāñ mileñge bhalā mujh ko mehrbāñ tujh se

ḳhudā kare ki ho ta.abīr ḳhvāb kī achchhī
milā huuñ raat maiñ phūloñ ke darmiyāñ tujh se

judā.iyoñ kā sabab sirf ek thā 'taimūr'
tavaqquāt ziyāda thiiñ jān-e-jāñ tujh se

ye log karte hain mansub jo bayan tujh se
samajhte hain mujhe kar denge bad-guman tujh se

jahan jahan mujhe teri ana bachana thi
shikast khai hai main ne wahan wahan tujh se

mere shajar mujhe bazu hila ke ruKHsat kar
kahan milenge bhala mujh ko mehrban tujh se

KHuda kare ki ho tabir KHwab ki achchhi
mila hun raat main phulon ke darmiyan tujh se

judaiyon ka sabab sirf ek tha 'taimur'
tawaqquat ziyaada thin jaan-e-jaan tujh se


Leave a comment

+