Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pramod Pundhir Pyaasa

  • Ghazal


zikr mein aate hain jab alfaz kuchh


zikr meñ aate haiñ jab alfāz kuchh
ham-suḳhan badle tire andāz kuchh

āj-kal māhaul kuchh achchhā nahīñ
haiñ chhupe mahfil meñ dast-andāz kuchh

roz jalte haiñ patañge kis liye
aur bujhtī lau hai be-āvāz kuchh

bach ga.iiñ ye to karishma ho gayā
had meñ sūraj ke jo thiiñ parvāz kuchh

aa ga.ī haiñ talḳhiyāñ kirdār meñ
ho ga.e be-pardā hai e.ajāz kuchh

muskurānā aur muñh kā phernā
ham samajh paa.e na ab tak raaz kuchh

ek tūfāñ sā uThā hai us taraf
uḌ rahe haiñ is taraf bhī baaz kuchh

ishq ke bāzār meñ aa hī ga.e
jo bhī ho anjām ho āġhāz kuchh

zikr mein aate hain jab alfaz kuchh
ham-suKHan badle tere andaz kuchh

aaj-kal mahaul kuchh achchha nahin
hain chhupe mahfil mein dast-andaz kuchh

roz jalte hain patange kis liye
aur bujhti lau hai be-awaz kuchh

bach gain ye to karishma ho gaya
had mein suraj ke jo thin parwaz kuchh

aa gai hain talKHiyan kirdar mein
ho gae be-parda hai eajaz kuchh

muskurana aur munh ka pherna
hum samajh pae na ab tak raaz kuchh

ek tufan sa uTha hai us taraf
uD rahe hain is taraf bhi baz kuchh

ishq ke bazar mein aa hi gae
jo bhi ho anjam ho aaghaz kuchh


Leave a comment

+