kyuuñ tirī qand-labī ḳhush-suḳhanī yaad aa.ī
zahar-afshānī-e-dunyā-e-danī yaad aa.ī
pa.e-gul-gasht-e-chaman phir dil-e-dīvāna chalā
phir tirī sarv-qadī gul-badanī yaad aa.ī
jab kisī jism pe sajte hue dekhā hai libās
terī ḳhush-qāmatī ḳhush-pairahnī yaad aa.ī
yuuñ nibāhā tirā vaada tire ġham ne barsoñ
ġham-e-ayyām kī paimāñ-shikanī yaad aa.ī
jaam uThāte hī dil umDā to bhar aa.iiñ āñkheñ
chashm-e-sāqī tirī sāġhar-shiknī yaad aa.ī
yaad aa.ī na kabhī be-sar-o-sāmānī meñ
dekh kar ghar ko ġharīb-ul-vatanī yaad aa.ī
aaj dikhlāte gul-afshānī-e-guftār 'vahīd'
lag ga.ī chup jo vo ġhuncha-dahnī yaad aa.ī
kyun teri qand-labi KHush-suKHani yaad aai
zahar-afshani-e-dunya-e-dani yaad aai
pae-gul-gasht-e-chaman phir dil-e-diwana chala
phir teri sarw-qadi gul-badani yaad aai
jab kisi jism pe sajte hue dekha hai libas
teri KHush-qamati KHush-pairahni yaad aai
yun nibaha tera wada tere gham ne barson
gham-e-ayyam ki paiman-shikani yaad aai
jam uThate hi dil umDa to bhar aain aankhen
chashm-e-saqi teri saghar-shikni yaad aai
yaad aai na kabhi be-sar-o-samani mein
dekh kar ghar ko gharib-ul-watani yaad aai
aaj dikhlate gul-afshani-e-guftar 'wahid'
lag gai chup jo wo ghuncha-dahni yaad aai
Leave a comment