Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


kaun si shai mein tera nur nahin


kaun sī shai meñ tirā nuur nahīñ
kis jagah par tirā zuhūr nahīñ

dil se aatī hai ye sadā paiham
paas tere huuñ tujh se duur nahīñ

dil-e-vahshī ne the qadam chūme
is meñ koī mirā qusūr nahīñ

ḳhaak ho kar ġhubār-e-rāh bano
naḳhvat-o-kibr kuchh zarūr nahīñ

jalva dikhlā de shāh-e-dīñ mujh ko
tere lutf-o-karam se duur nahīñ

jalva-e-nūr se jalā thā koh
dil makān-e-ḳhudā hai tuur nahīñ

ai 'jamīla' gunah kā kyā dhaḌkā
naam is kā magar ġhafūr nahīñ

kaun si shai mein tera nur nahin
kis jagah par tera zuhur nahin

dil se aati hai ye sada paiham
pas tere hun tujh se dur nahin

dil-e-wahshi ne the qadam chume
is mein koi mera qusur nahin

KHak ho kar ghubar-e-rah bano
naKHwat-o-kibr kuchh zarur nahin

jalwa dikhla de shah-e-din mujh ko
tere lutf-o-karam se dur nahin

jalwa-e-nur se jala tha koh
dil makan-e-KHuda hai tur nahin

ai 'jamila' gunah ka kya dhaDka
nam is ka magar ghafur nahin


Leave a comment

+