Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah wali

  • Ghazal


koi har maraz ki dawa banTta hai


koī har maraz kī davā bāñTtā hai
ḳhulūs-o-mohabbat vafā bāñTtā hai

masīhā.ī par us kī qurbān jaao
maraz dene vaalā shifā bāñTtā hai

na dekhā hai jis ne kabhī apnā chehra
vahī shahr meñ ā.īna bāñTtā hai

samajhtā hai ḳhud ko jo bahlol-e-dānā
chalo chal ke dekheñ vo kyā bāñTtā hai

yahāñ kaun kyā kis ko detā hai har ik
muqaddar kā likkhā huā bāñTtā hai

ḳhudā jis ko taufīq de is jahāñ meñ
vahī dard-e-dil kī davā bāñTtā hai

'valī' us kī jādū-bayānī na pūchho
vo ḳhvāb-e-haqīqat-numā bāñTtā hai

koi har maraz ki dawa banTta hai
KHulus-o-mohabbat wafa banTta hai

masihai par us ki qurban jao
maraz dene wala shifa banTta hai

na dekha hai jis ne kabhi apna chehra
wahi shahr mein aaina banTta hai

samajhta hai KHud ko jo bahlol-e-dana
chalo chal ke dekhen wo kya banTta hai

yahan kaun kya kis ko deta hai har ek
muqaddar ka likkha hua banTta hai

KHuda jis ko taufiq de is jahan mein
wahi dard-e-dil ki dawa banTta hai

'wali' us ki jadu-bayani na puchho
wo KHwab-e-haqiqat-numa banTta hai


Leave a comment

+