Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Ansari

  • Ghazal


gham-e-hayat ka manzar badalne wala hai


ġham-e-hayāt kā manzar badalne vaalā hai
ḳhushī manāo ki sūraj nikalne vaalā hai

vo shaḳhs jis ne hamesha ḳhulūs bāñTā thā
zarā sī baat pe tevar badalne vaalā hai

ġhurūr hone lagā us ko apnī shohrat par
ye azhdahā ise zinda nigalne vaalā hai

sambhālo apne safīne ḳhud apne hāthoñ meñ
sunā hai aaj samundar machalne vaalā hai

vaqār-e-ilm-o-hunar kam na ho kahīñ 'ejāz'
yahī charāġh havāoñ meñ jalne vaalā hai

gham-e-hayat ka manzar badalne wala hai
KHushi manao ki suraj nikalne wala hai

wo shaKHs jis ne hamesha KHulus banTa tha
zara si baat pe tewar badalne wala hai

ghurur hone laga us ko apni shohrat par
ye azhdaha ise zinda nigalne wala hai

sambhaalo apne safine KHud apne hathon mein
suna hai aaj samundar machalne wala hai

waqar-e-ilm-o-hunar kam na ho kahin 'ejaz'
yahi charagh hawaon mein jalne wala hai


Source:

Leave a comment

+