Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Talib Baghpati

  • Ghazal


mera KHayal unki tamanna kahen jise


merā ḳhayāl un kī tamannā kaheñ jise
un kā gumān ranjish-e-be-jā kaheñ jise

maiñ ārzū-e-maut kis ummīd par karūñ
vo jāntā hai rashk-e-masīhā kaheñ jise

sach pūchhiye to naam isī kā hai zindagī
ham istilāh-e-ishq meñ marnā kaheñ jise

uftādgī meñ dil bhī sharīk-e-alam nahīñ
duniyā meñ aah kaun hai apnā kaheñ jise

sar phoḌnā junūñ meñ dalīl-e-kamāl hai
farzāngī-e-ishq hai saudā kaheñ jise

dabīcha-e-fanā hai haqīqat meñ zindagī
ya.anī sukūn-e-hosh hai marnā kaheñ jise

mere ḳhulūs par bhī hazāroñ shokūk haiñ
'tālib' ye hai nasīb kā likkhā kaheñ jise

mera KHayal un ki tamanna kahen jise
un ka guman ranjish-e-be-ja kahen jise

main aarzu-e-maut kis ummid par karun
wo jaanta hai rashk-e-masiha kahen jise

sach puchhiye to nam isi ka hai zindagi
hum istilah-e-ishq mein marna kahen jise

uftadgi mein dil bhi sharik-e-alam nahin
duniya mein aah kaun hai apna kahen jise

sar phoDna junun mein dalil-e-kamal hai
farzangi-e-ishq hai sauda kahen jise

dabicha-e-fana hai haqiqat mein zindagi
yani sukun-e-hosh hai marna kahen jise

mere KHulus par bhi hazaron shokuk hain
'talib' ye hai nasib ka likkha kahen jise


Source:

Leave a comment

+