Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibrahim Ashk

  • Ghazal


mohabbaton mein jo miT miT ke shahkar hua


mohabbatoñ meñ jo miT miT ke shāhkār huā
vo shaḳhs kitnā zamāne meñ yādgār huā

tirī hī aas meñ guzre haiñ dhuup chhāñv se ham
tirī hī pyaas meñ sahrā bhī ḳhush-gavār huā

na jaane kitnī bahāroñ kī de gayā ḳhushbū
vo ik badan jo hamāre gale kā haar huā

tumhāre baad to har ik qadam hai ban-bās
hamārā shahr ke logoñ meñ kab shumār huā

ḳhud apne aap se lenā thā intiqām mujhe
maiñ apne haath ke patthar se sañgsār huā

ye ek jaan bhī letā hai 'ashk' qistoñ meñ
zarā sā kaam bhī us se na ek baar huā

mohabbaton mein jo miT miT ke shahkar hua
wo shaKHs kitna zamane mein yaadgar hua

teri hi aas mein guzre hain dhup chhanw se hum
teri hi pyas mein sahra bhi KHush-gawar hua

na jaane kitni bahaaron ki de gaya KHushbu
wo ek badan jo hamare gale ka haar hua

tumhaare baad to har ek qadam hai ban-bas
hamara shahr ke logon mein kab shumar hua

KHud apne aap se lena tha intiqam mujhe
main apne hath ke patthar se sangsar hua

ye ek jaan bhi leta hai 'ashk' qiston mein
zara sa kaam bhi us se na ek bar hua


Leave a comment

+