Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Ansari

  • Ghazal


ye teri yaad hai tera KHayal hai kya hai


ye terī yaad hai terā ḳhayāl hai kyā hai
añdherī raat hai phir bhī bahut ujālā hai

vafā fareb hai 'ejāz' ishq dhokā hai
binā ġharaz ke yahāñ kaun kis se miltā hai

ġhamoñ ne chehrā kuchh itnā bigāḌ rakkhā hai
ki aa.ina ho muqābil to ḳhauf aatā hai

badan hai shāḳh kī mānind gul sā chehra hai
hamārī jāgtī āñkhoñ ne kis ko dekhā hai

ġharaz-parast mohabbat kī baat karne lage
na jaane aaj kā sūraj kidhar se niklā hai

kabhī sitam bhī tirā pur-kashish nazar aayā
kabhī karam bhī tirā nāgavār guzrā hai

kitāb-e-dil pe zarā ġhaur se nazar Daalo
varaq varaq pe tumhārā hī naam likkhā hai

ye kis kī laash paḌī hai saḌak pe lā-vāris
ye kis kā naam likhā hai ye kis kā basta hai

hai nok-e-neza pe bhī fat.h kī adā 'ejāz'
hamārā sar abhī qātil ke sar se ūñchā hai

ye teri yaad hai tera KHayal hai kya hai
andheri raat hai phir bhi bahut ujala hai

wafa fareb hai 'ejaz' ishq dhoka hai
bina gharaz ke yahan kaun kis se milta hai

ghamon ne chehra kuchh itna bigaD rakkha hai
ki aaina ho muqabil to KHauf aata hai

badan hai shaKH ki manind gul sa chehra hai
hamari jagti aankhon ne kis ko dekha hai

gharaz-parast mohabbat ki baat karne lage
na jaane aaj ka suraj kidhar se nikla hai

kabhi sitam bhi tera pur-kashish nazar aaya
kabhi karam bhi tera nagawar guzra hai

kitab-e-dil pe zara ghaur se nazar Dalo
waraq waraq pe tumhaara hi nam likkha hai

ye kis ki lash paDi hai saDak pe la-waris
ye kis ka nam likha hai ye kis ka basta hai

hai nok-e-neza pe bhi fath ki ada 'ejaz'
hamara sar abhi qatil ke sar se uncha hai


Source:

Leave a comment

+