Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Samani

  • Ghazal


KHud se bhi ek baat chhupaya karta hun


ḳhud se bhī ik baat chhupāyā kartā huuñ
apne andar ġhair ko dekhā kartā huuñ

apnī sūrat bhī kab apnī lagtī hai
ā.īnoñ meñ ḳhud ko dekhā kartā huuñ

armānoñ ke rūp-nagar meñ rah kar bhī
ḳhud ko tanhā tanhā paayā kartā huuñ

gulshan gulshan sahrā sahrā barsoñ se
āvāra āvāra ghūmā kartā huuñ

farzī qissoñ jhūTī bātoñ se akasr
sachchā.ī ke qad ko naapā kartā huuñ

KHud se bhi ek baat chhupaya karta hun
apne andar ghair ko dekha karta hun

apni surat bhi kab apni lagti hai
aainon mein KHud ko dekha karta hun

armanon ke rup-nagar mein rah kar bhi
KHud ko tanha tanha paya karta hun

gulshan gulshan sahra sahra barson se
aawara aawara ghuma karta hun

farzi qisson jhuTi baaton se akasr
sachchai ke qad ko napa karta hun


Leave a comment

+