Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


charagh baqi raha na ab aaina rahega


charāġh baaqī rahā na ab aa.ina rahegā
magar shaguft-e-jamāl kā silsila rahegā

hazār chaukas rahīñ kaḌī tīrgī ke daa.ī
mire tasavvur meñ ek rauzan khulā rahegā

yaqīn aayā hai aaj alvāh-e-sa.ang paḌh kar
ki is nagar meñ bas ek nām-e-ḳhudā rahegā

yahī rahegā agar mirī be-kasī kā aalam
duā.eñ bach pā.eñgī na dast-e-duā rahegā

siyāh paḌne lagegī sham-e-visāl kī zau
khilā huā rāt-bhar jo rañg-e-hinā rahegā

mirī tarah niiñd aa nahīñ pā.egī use bhī
maiñ jāntā huuñ vo sub.h tak jāgtā rahegā

kahāñ miTāne se miT sakegā vo naqsh dil se
ġhubār sā aa.ine pe ik aks kā rahegā

ḳhayāl rahtā hai niiñd meñ ab usī parī kā
jo phuul ab shāḳh par khilegā khilā rahegā

safar ho pātāl kā ki sair-e-falak ho 'sājid'
jahāñ rahūñgā zamīn se rābta rahegā

charagh baqi raha na ab aaina rahega
magar shaguft-e-jamal ka silsila rahega

hazar chaukas rahin kaDi tirgi ke dai
mere tasawwur mein ek rauzan khula rahega

yaqin aaya hai aaj alwah-e-sang paDh kar
ki is nagar mein bas ek nam-e-KHuda rahega

yahi rahega agar meri be-kasi ka aalam
duaen bach paengi na dast-e-dua rahega

siyah paDne lagegi sham-e-visal ki zau
khila hua raat-bhar jo rang-e-hina rahega

meri tarah nind aa nahin paegi use bhi
main jaanta hun wo subh tak jagta rahega

kahan miTane se miT sakega wo naqsh dil se
ghubar sa aaine pe ek aks ka rahega

KHayal rahta hai nind mein ab usi pari ka
jo phul ab shaKH par khilega khila rahega

safar ho patal ka ki sair-e-falak ho 'sajid'
jahan rahunga zamin se rabta rahega


Leave a comment

+