Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pallavi Mishra

  • Ghazal


wo mila ke nazar is ada se chala


vo milā ke nazar is adā se chalā
jaise milne kisī apsarā se chalā

kaun kahtā hai sāhab davā se chalā
vo hamārī tumhārī duā se chalā

sar jhukāne kī us ne adā siikh lī
jo hamesha razā-e-ḳhudā se chalā

us diye kī himāqat zarā dekhiye
aaj laḌne vo bahtī havā se chalā

us ko jannat milegī ye tai ho gayā
nek rāhoñ pe jo bhī sadā se chalā

chāñd bādal maiñ chhup ke nahīñ rah sakā
haule haule vo bāhar ghaTā se chalā

ġhalatiyoñ kī sazā jab bhugatnī paḌī
kar ke tauba vo apnī ḳhatā se chalā

wo mila ke nazar is ada se chala
jaise milne kisi apsara se chala

kaun kahta hai sahab dawa se chala
wo hamari tumhaari dua se chala

sar jhukane ki us ne ada sikh li
jo hamesha raza-e-KHuda se chala

us diye ki himaqat zara dekhiye
aaj laDne wo bahti hawa se chala

us ko jannat milegi ye tai ho gaya
nek rahon pe jo bhi sada se chala

chand baadal main chhup ke nahin rah saka
haule haule wo bahar ghaTa se chala

ghalatiyon ki saza jab bhugatni paDi
kar ke tauba wo apni KHata se chala


Leave a comment

+