Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamil Bahzadi

  • Ghazal


aakash ki hasin fazaon mein kho gaya


ākāsh kī hasīn fazāoñ meñ kho gayā
maiñ is qadar uḌā ki ḳhalāoñ meñ kho gayā

katrā rahe haiñ aaj ke suqrāt zahr se
insān maslahat kī adāoñ meñ kho gayā

shāyad mirā zamīr kisī roz jaag uThe
ye soch ke maiñ apnī sadāoñ meñ kho gayā

lahrā rahā hai saañp sā saaya zamīn par
sūraj nikal ke duur ghaTāoñ meñ kho gayā

motī sameT laa.e samundar se ahl-e-dil
vo shaḳhs be-amal thā duāoñ meñ kho gayā

Thahre hue the jis ke tale ham shikasta-pā
vo sā.ebāñ bhī tez havāoñ meñ kho gayā

aakash ki hasin fazaon mein kho gaya
main is qadar uDa ki KHalaon mein kho gaya

katra rahe hain aaj ke suqraat zahr se
insan maslahat ki adaon mein kho gaya

shayad mera zamir kisi roz jag uThe
ye soch ke main apni sadaon mein kho gaya

lahra raha hai sanp sa saya zamin par
suraj nikal ke dur ghaTaon mein kho gaya

moti sameT lae samundar se ahl-e-dil
wo shaKHs be-amal tha duaon mein kho gaya

Thahre hue the jis ke tale hum shikasta-pa
wo saeban bhi tez hawaon mein kho gaya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 aakash ki hasin fazaon mein kho gaya Nomaan Shauque

Leave a comment

+