maiñ kab rahīn-e-reg-e-bayābān-e-yās thā
sad-ḳhema-e-bahār mire aas paas thā
toḌā hai bār-hā mujhe dil kī shikast ne
chehra magar zarā bhī na merā udaas thā
sahrā-e-jāñ kī dhuup meñ thiiñ vahshateñ bahut
lekin na merā azm kahīñ bad-havās thā
ye aur baat hai ki barhana thī zindagī
maujūd phir bhī mere badan par libās thā
maiñ ne har ek lamhe ko chāhā hai TuuT kar
thā zindagī-parast mohabbat-shanās thā
mausam kuchh aa.e aise bhī shahr-e-ḳhayāl meñ
mujh ko na jin kā ilm na koī qayās thā
fikr-e-suḳhan hī 'ashk' hai zauq-e-amal mirā
is ke sivā na kār-e-jahāñ koī raas thā
main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha
sad-KHema-e-bahaar mere aas pas tha
toDa hai bar-ha mujhe dil ki shikast ne
chehra magar zara bhi na mera udas tha
sahra-e-jaan ki dhup mein thin wahshaten bahut
lekin na mera azm kahin bad-hawas tha
ye aur baat hai ki barhana thi zindagi
maujud phir bhi mere badan par libas tha
main ne har ek lamhe ko chaha hai TuT kar
tha zindagi-parast mohabbat-shanas tha
mausam kuchh aae aise bhi shahr-e-KHayal mein
mujh ko na jin ka ilm na koi qayas tha
fikr-e-suKHan hi 'ashk' hai zauq-e-amal mera
is ke siwa na kar-e-jahan koi ras tha
Leave a comment