malbe se jo milī haiñ vo lāsheñ dikhā.iye
sāhab navādirāt kī shakleñ dikhā.iye
ham log be-basar haiñ magar bad-nazar nahīñ
ainak utāriye hameñ āñkheñ dikhā.iye
duniyā kamā ke so ga.e jo be-charāġh log
un ko mirā ḳhayāl hai qabreñ dikhā.iye
jo dekhne se baaz nahīñ aa rahe unheñ
mahshar ke din kī āḳhirī qisteñ dikhā.iye
maiñ huuñ 'falak ġhulām-e-alī yā-alī madad
mujh ko mire imaam sabīleñ dikhā.iye
malbe se jo mili hain wo lashen dikhaiye
sahab nawadiraat ki shaklen dikhaiye
hum log be-basar hain magar bad-nazar nahin
ainak utariye hamein aankhen dikhaiye
duniya kama ke so gae jo be-charagh log
un ko mera KHayal hai qabren dikhaiye
jo dekhne se baz nahin aa rahe unhen
mahshar ke din ki aaKHiri qisten dikhaiye
main hun 'falak ghulam-e-ali ya-ali madad
mujh ko mere imam sabilen dikhaiye
Leave a comment