Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahir Bilgrami

  • Ghazal


lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein


lutf-e-hayāt-e-nau hai har ik inqalāb meñ
haiñ asl zindagī ke maze pech-o-tāb meñ

yuuñ to bahut sī bāteñ haiñ dil kī kitāb meñ
lekin hai ġham kā tazkira har ek baab meñ

lag jaa.eñ chaar chāñd abhī āftāb meñ
tahlīl kar ke dekhe to koī gulāb meñ

uf ye itaab pahle hī ḳhat ke javāb meñ
dhokā mujhe zarūr huā intiḳhāb meñ

phir kyuuñ na tū ba-ġharq ho jām-e-sharāb meñ
hai āftāb raqs-kunāñ māhtāb meñ

phir bhī magar nigāh kisī kī isī pe hai
kyā rah gayā hai ab dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ

āshiq ḳhushī se mar na kahīñ jaa.e sunte hī
tasvīr-e-dil hai aa.ī udhar se javāb meñ

is tarah gul shagufta hai shabnam se bhiig ke
baiThā ho koī jaise koī nahā kar sharāb meñ

tar-dāmanī meñ aa.e nazar ham hī pesh pesh
a.amāl-e-zindagī ke hisāb-o-kitāb meñ

nafrat kā bhī javāb mohabbat se dījiye
likkhā yahī hai dil kī muqaddas kitāb meñ

anmol dil sā gauhar-e-nāyāb dekhiye
tohfa hai pesh ḳhidmat-e-ālī-janāb meñ

jannat kā tazkira kabhī kū-e-sanam kī baat
donoñ jahāñ kā lutf hai jām-e-sharāb meñ

is fitna-zā ko kaun zamāne meñ muñh lagā.e
bad-bū-e-shar hai aa rahī nām-e-sharāb meñ

ahd-e-jumūd jīte-jī be-maut kī hai maut
hai lutf zindagī kā to bas inqalāb meñ

allāh kah ke yaad kareñ yā sanam kaheñ
rahne deñ husn ko yūñhī lekin hijāb meñ

zabt-e-ġham-e-vafā kā rahe har ghaḌī ḳhayāl
pahlā sabaq yahī hai mohabbat ke baab meñ

'māhir' ġham-e-habīb kā allāh bhalā kare
aksar ġhazal huī hai isī pech-o-tāb meñ

lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein
hain asl zindagi ke maze pech-o-tab mein

yun to bahut si baaten hain dil ki kitab mein
lekin hai gham ka tazkira har ek bab mein

lag jaen chaar chand abhi aaftab mein
tahlil kar ke dekhe to koi gulab mein

uf ye itab pahle hi KHat ke jawab mein
dhoka mujhe zarur hua intiKHab mein

phir kyun na tu ba-gharq ho jam-e-sharab mein
hai aaftab raqs-kunan mahtab mein

phir bhi magar nigah kisi ki isi pe hai
kya rah gaya hai ab dil-e-KHana-KHarab mein

aashiq KHushi se mar na kahin jae sunte hi
taswir-e-dil hai aai udhar se jawab mein

is tarah gul shagufta hai shabnam se bhig ke
baiTha ho koi jaise koi naha kar sharab mein

tar-damani mein aae nazar hum hi pesh pesh
aamal-e-zindagi ke hisab-o-kitab mein

nafrat ka bhi jawab mohabbat se dijiye
likkha yahi hai dil ki muqaddas kitab mein

anmol dil sa gauhar-e-nayab dekhiye
tohfa hai pesh KHidmat-e-ali-janab mein

jannat ka tazkira kabhi ku-e-sanam ki baat
donon jahan ka lutf hai jam-e-sharab mein

is fitna-za ko kaun zamane mein munh lagae
bad-bu-e-shar hai aa rahi nam-e-sharab mein

ahd-e-jumud jite-ji be-maut ki hai maut
hai lutf zindagi ka to bas inqalab mein

allah kah ke yaad karen ya sanam kahen
rahne den husn ko yunhi lekin hijab mein

zabt-e-gham-e-wafa ka rahe har ghaDi KHayal
pahla sabaq yahi hai mohabbat ke bab mein

'mahir' gham-e-habib ka allah bhala kare
aksar ghazal hui hai isi pech-o-tab mein


Source: Saamaan-e-Sar-Khushi

Leave a comment

+