Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibn e Insha

  • Ghazal


kis ko par utara tumne kis ko par utaroge


kis ko paar utārā tum ne kis ko paar utāroge
mallāho tum pardesī ko biich bhañvar meñ māroge

muñh dekhe kī mīThī bāteñ sunte itnī umr huī
aañkh se ojhal hote hote jī se hameñ bisāroge

aaj to ham ko pāgal kah lo patthar pheñko tanz karo
ishq kī baazī khel nahīñ hai kheloge to hāroge

ahl-e-vafā se tark-e-ta.alluq kar lo par ik baat kaheñ
kal tum in ko yaad karoge kal tum inheñ pukāroge

un se ham se pyaar kā rishta ai dil chhoḌo bhuul chuko
vaqt ne sab kuchh meT diyā hai ab kyā naqsh ubhāroge

'inshā' ko kisī soch meñ Duube dar par baiThe der huī
kab tak us ke baḳht ke badle apne baal sañvāroge

kis ko par utara tum ne kis ko par utaroge
mallaho tum pardesi ko bich bhanwar mein maroge

munh dekhe ki miThi baaten sunte itni umr hui
aankh se ojhal hote hote ji se hamein bisaroge

aaj to hum ko pagal kah lo patthar phenko tanz karo
ishq ki bazi khel nahin hai kheloge to haaroge

ahl-e-wafa se tark-e-talluq kar lo par ek baat kahen
kal tum in ko yaad karoge kal tum inhen pukaroge

un se hum se pyar ka rishta ai dil chhoDo bhul chuko
waqt ne sab kuchh meT diya hai ab kya naqsh ubhaaroge

'insha' ko kisi soch mein Dube dar par baiThe der hui
kab tak us ke baKHt ke badle apne baal sanwaroge

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 kis ko par utara tumne kis ko par utaroge Nomaan Shauque

Leave a comment

+