chaudhvāñ us chañdar kā saal huā
husn meñ badr bā-kamāl huā
tujh sā chanchal nahīñ zamāne meñ
ram meñ ai man hiran ġhazāl huā
bāġh-e-dil meñ tū naḳhl-e-tūbā hai
sarv tujh qad se pā.emāl huā
raat din tū rahe raqībāñ-sañg
dekhnā terā mujh muhāl huā
dekh kar tujh nayan kī shoḳhī kuuñ
thak ke sahrā-nashīñ ġhazāl huā
murġh-e-dil ke phañsāne ko mere
dāna-o-dām zulf o ḳhaal huā
zulf kī har shikan meñ tujh merā
dil giraftār baal baal huā
chaudhwan us chandar ka sal hua
husn mein badr ba-kamal hua
tujh sa chanchal nahin zamane mein
ram mein ai man hiran ghazal hua
bagh-e-dil mein tu naKHl-e-tuba hai
sarw tujh qad se paemal hua
raat din tu rahe raqiban-sang
dekhna tera mujh muhaal hua
dekh kar tujh nayan ki shoKHi kun
thak ke sahra-nashin ghazal hua
murgh-e-dil ke phansane ko mere
dana-o-dam zulf o KHal hua
zulf ki har shikan mein tujh mera
dil giraftar baal baal hua
Source: Book : Intekhab Kalam (Pg. 36)
Leave a comment