Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahzeeb Hafi

  • Ghazal


ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai


ye ek baat samajhne meñ raat ho ga.ī hai
maiñ us se jiit gayā huuñ ki maat ho ga.ī hai

maiñ ab ke saal parindoñ kā din manā.ūñgā
mirī qarīb ke jañgal se baat ho ga.ī hai

bichhaḌ ke tujh se na ḳhush rah sakūñgā sochā thā
tirī judā.ī hī vaj.h-e-nashāt ho ga.ī hai

badan meñ ek taraf din tulūa maiñ ne kiyā
badan ke dūsre hisse meñ raat ho ga.ī hai

maiñ jañgaloñ kī taraf chal paḌā huuñ chhoḌ ke ghar
ye kyā ki ghar kī udāsī bhī saath ho ga.ī hai

rahegā yaad madīne se vāpsī kā safar
maiñ nazm likhne lagā thā ki na.at ho ga.ī hai

ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai
main us se jit gaya hun ki mat ho gai hai

main ab ke sal parindon ka din manaunga
meri qarib ke jangal se baat ho gai hai

bichhaD ke tujh se na KHush rah sakunga socha tha
teri judai hi wajh-e-nashat ho gai hai

badan mein ek taraf din tulua main ne kiya
badan ke dusre hisse mein raat ho gai hai

main jangalon ki taraf chal paDa hun chhoD ke ghar
ye kya ki ghar ki udasi bhi sath ho gai hai

rahega yaad madine se wapsi ka safar
main nazm likhne laga tha ki nat ho gai hai

RECITATIONS Javed Naseem



00:00/00:00 Ye ek baat samjhne mein raat ho gai hai - Tehzeeb Hafi Javed Naseem

Leave a comment

+